School kab khulenge? in 2020
kaise ho aap sab??
Aaj hm ek or nye topic ke saath aaye hai
School kab khulenge?
jisme aapko btayenge ki aakhir schools kb khulenge?
to swaagat hai aapka find-aim.com me
or isi ke saath hi topic pr aate hai
to aapko btaa dein ki
Experts ne thand ke mausam mein covid-19 mahamaare badhane ki aashanka jatai hai. khatre ko dekhate hue raajya sarakarein schools kholne ke baare mein atyant saavadhane se nirnay kar rahee hain.
Centre sarkaar nein bhle hi schools or colleges kholne ke liye manjuri de di ho pr parents, teachers or students yhaa tk ki rajya sarkaar abhi tk isse hichak rhein hai.
waise akhiri faisla rajyo pr chhoda gya tha jisme se kuchh raajyo nein school na kholne ka faisla liya tha or wahi kuchh school mein abhi hi shool khulein hai jaise ki UP, Asam, Andhra-Pradesh, Maharashtra jabki Haryana or Uttrakhand ne school kholne ke baad band kr diye. Covid-19 ke failne ka khtra bna hua hai isliye state govt. bhi risk nhi lena chahti. school staff bhi bachon ko school na bulaane ke paksh mein hai.
Delhi sarkaar nein filhaal ishara kiya hai ki jb tk vaccine nhi aa jaati tb tk schools ko band hi rkhaa jaa skta hai.
Maharashtra nein pichhle hafte hi school kholen hai pr BMC ke daayre mein aane wale school abhi bhi 31 december tk band rhenge.
Gujarat, Madhya Pradesh, Himachal Pradesh, Punjab aur Rajasthan mein night curfew lagaya gaya hai.
Iske alaba UP, Andhra Pradesh or Asam mein school khole gye hai.
Asam mein 6th se lekr 12th classes tk ke schools khole gye hai wahin baaki jagah class 9th se 12th tak or baaki classes or places mein abhi online classes pr hi jor diya jaa rha hai.
Up nein bhi inhi classes ke bacho ko school bulaya hai.
Aapko yeh bhi btaa dete hai ki HP sarkaar nein bhi school khole the prantu cases bdne ke kaaran inhe turant firse close kr diya gya or ab 31th December tk school band kr diye gye hai. Hariyana sarkaar nein bhi niji schools ko 30th November tk band kr diya hai. Gujarat ke bhi kuchh hisso mein school khule the magar yhaa bhi cases bdne ke kaaran band kr diye.
Delhi ke deputy CM Maneesh sisodiya ne kaha hai ki corona vaccine aane tak school khulane ki sambhavana kam hi hai.
Delhi, Pashchim-Bangaal ke saath saath desh ke kyi rajyo mein bhi school band hi rkhein gye hai.
Karnataka mein bhi school band hai or Gujarat mein bhi.
aapko bta dete hai ki;
Himachal Pradesh
Himachal Pradesh mein School/college 31th December tak band rhenge,
Maharashtra
Maharashtra ke schools ko charanbadh tareeke se 23th November se phir se kholane ki anumati di gyi thi. Halanki, BMC ne shukrvaar ko ghoshna kee ki uske adhikaar kshetr ke sabhi school badhte corona virus maamlon ke maddenajar 31th december tak band rahenge.
Hariyana
Maharashtra ki tarah, Hariyaana ne bhi apne schools ko band kar diya hai, lekin 30 novembar tak teen zilon ke lagabhag 150 students ne covid-19 ka test kiya. Raajya sarakaar ne ab sabhee adhikaariyon se un schools ke khilaaf sakhat karyavai karne ko kaha hai jo jo covid-19 suraksha protocol ka paalan nahin kar rahe hain. Ab 10 December ke baad hi Hariyana mein school khul skte hai.
Karnataka
Rajya ke shiksha mantree ne kaha, “hamne maata-pita saheet vibhin hitdhaarkon ke saath sampoorn baithk karke paryaapt jaankaari ikthaa ki hai. Unmein se kuchh phir se kholane ke pakshadhar hain aur kuchh ne dridtaa se virodh kiya hai, Isliye hamne abhi tak schools ko phir se kholne par koi aadhikaarik rukh nahin apanaaya gaya hai.
Gujarat
Gujarat mein, badhate corona virus maamlon ke maddenajar 23rd November se schools ko phir se kholne ke apne faisle ko raajya sarakaar ne radd kar diya hai. Rajya sarakaar ne ab sanket kiya hai ki schools ko phir se kholne ke bare mein nirnay gujaraat mein covid-19 ka vishleshan karne ke baad hi liya jayega.
Tamilanaadu
Gujarat ki tarah, Tamilanaadu sarakaar ne bhi covid-19 ke badhate mamlon ke beech schools ko phir se kholne ke apne faisle par U-turn le liya hai. schools ko phir se kholna abhi ke lie taal diya gaya hai.
Delhi
Dehli sarakaar pahle hi kah chuki hai ki ek baar mahaamaari ke niyantran mein aane ke baad rashtrey rajadhani ke schools ko phir se kholne ki anumati di jaegi.
Uttarakhand
Uttarakhand mein, Rajya sarkar ne 2nd November se schools ko 10th aur 12th classes ke liye fir se kholne ki anumati di thi, yah dikhata hai ki sabhi ko covid-19 protocol ka paalan karna hoga.
Andhra Pradesh
Uttarakhand ki tarah, Andhra Pradesh ne bhi students ke liye vikelpik dinon par classes ke saath 2nd November se schools ko fir se kholne ki anumati di thi.
Asam
Asam ne bhi 2nd November se schools ko fir se kholne ki anumati de di thi.
Uttar Pradesh
Uttar Pradesh mein, kaksha 9th se 12th tak ke schools ko shrenibaddh tarike se fir se khol diya gaya hai.
Goa
Goa mein class 10th aur 12th ke liye schools ko shanivaar ko phir se khol diya gaya hai.
Agar aapka Rajya chhot gya ho ya fir koi or question ho to comment mein puchh lijiyega.
school jb bhi khulein yeh govt. or situation pr depend krta hai
waise adhiktar smbhavna yhi hai ki school jo jo band hai wo agle saal mein hi khulenge.
Comment mein apni raay jrur dijiyega.
Thanks!